Sunday, 28 September 2014

Locha E Harmons baar baar ho sakta hai ..
Locha E Ulfat ek hi baar hota hai.......

Saturday, 27 September 2014

मंजिल की प्यास

वक्त की आंधी तो आती ही रहेंगी
मेरी भी जिद है मंजिल तक पहुंचने की..
आंधी तो कुछ वक्त की मेह्मान है
मंजिल की प्यास मेरी हर वक्त मेरे साथ है..

Monday, 22 September 2014

कुछ सवालो के बदले कुछ और सवाल मिले मुझे...

निकले थे जो जवाबो की तलाश में ,
वो सवाल अब सवाल करते है ?
खो गये है साथी मेरे,  
अब हम अकेले सफर करते है ….
सवलो के कुछ जवाब मिले पर
ना जाने क्यो वो भी सवाल करते है ..
कुछ पुराने कुछ सवाल नये,
सफर मे साथी जैसे लगते है .
तलाश जारी है और हम चलते जाते है ..


Tuesday, 16 September 2014

Kab aadat ho gyi khush rahne ki .......?

Kab aadat ho gyi khush rahne ki hame pta bhi na chala..
pta tab chala jab ham rukhasat ke wakt bhi dekhkar unhe hasane lage ..

Friday, 12 September 2014

Socha ki bta du tumhe ..

Sach me karte ho wafa mujhse..
Ya ye sab bas mujhe hasane ke liye hai..
Socha ki bta du tumhe ..
khush hu mai yun hi khamosh rahkar .
Bas is shor ke baad ki khamoshi se ..
bhut darti hun... 

Wednesday, 10 September 2014

Tera yun aake jana mujhe bura lagta hai..

Koi ummid na ki thi hamne khushi ki 
koi shikva bhi nhi tha zindagi se
par aaj tera yun aake jana mujhe bura lagta hai
Aaaj rab se kuch mangne ko jee karta hai
tujhe daud ke tham lene ko jii krta hai.....

Tuesday, 9 September 2014

Sir Kahte hai ...

Sir Kahte hai ....Jharne ke Upar baitha Sher Jharne ke niche baithe memane par jharne ke pani ko jutha karna ka aarop laga sakta hai ...
Matlab to Aap samajh hi gye honge ?
Powerful log hamesha apne se kam powerful par aaram se aarop laga sakte hai .


Monday, 8 September 2014

Khuda kisi ko aisi khudai na de . ki apne alawa koi dikhai na de.

Today I listened these lines ... Sharing with you

Akad ke jeene vale bhi koi insaan hote hai.....
Jhukte hai vohi jinme jaan hoti hai ..
Akad to murde ki Pahchaan hoti hai ......
Khuda kisi ko aisi khudai na de .
ki apne alawa koi dikhai na de.

Sunday, 7 September 2014

Sachchai ke Raste..

Bada Kathin hai Sachchai ke raste me chalna ...
Is rsste me Rode bhut hai ..
Utna hi saral bhi hai In raston me chalna
Kyunki yahaan logo ki kami hai ...
Sachchai ke is raste me mod bhut ho sakte hai ..
lekin jyada sochne ki jarurat nhi hoti..
der thodi ho sakti hai manjil Kabhi Door nahi hoti.....

Saturday, 6 September 2014

It's my Promise......Doston Ke liye

It's my Promise.....

Gam ho ya Khushiya baant lenge ham LUNCH ki tarah .
Milte ranhenge ham yun hi ...
Takiye ke niche rakhi ek Favourite kitab ki tarah..
Khushiyon me teri nacha karenge ..
Har galti pe teri daanta krenge..
Vakt badlega ham rahenge fir bhi yun hi..
Ladte ranhege ham Tom & Jerry ki tarah 
Thoda sa Jhooth Thoda sa Sach sunate rahenge
tum bhi sunana ......
Dosti nibhayenge yun hi without any Conditions apply vale Star ki tarah PAKKA !!



Thursday, 4 September 2014

Happy Teachers Day

Tinke hai ham , Pathar ke tukde ..Or Vo ,
Aashiyaan banane ka hunar rakhte hai ..
Musafir hai hai ham raahoon me Bhatkte ,
Or Vo Manjil tak le jane ka hunar rakhte hai ..
Girte hai ham jab rahoon me chalte chalte ,
Or Vo sambhalne ki kala sikha dete hai ...

Lafj ni milte Shukr kaise karun ....
Sochta hu ki Apki Shikshon pe chalkar 
Apko Dhanyawaad du..

Wednesday, 3 September 2014

Dedicated to All Teachers ....

Deevaron pe likhke kismat hamari ..
bhavishya hamara sanvara hai ..
Apki sikshaon ne hamein andheron se ubara hai ..
Kaise hote hai farishte nahi jante ham..
Khuda ke farishte hai aapTEACHERS ye vishwaas hamara hai ..
Kitni hi baar inhone hame apni baaton se sambhala hai ..
Girte hue hosalon me apki shikshaon ne hi to..
Fir se ik josh jagaya hai ..
Aapka rhe aashirwaad yun hi to ye vishwaas hamara hai ..
ki Aane vale kal hamara hai ...

Tuesday, 2 September 2014

Pyar ka tohfaa haanth me aaj liye baithe hai..







Pyar ka tohfaa haanth me aaj  liye baithe hai..
ham aankhon me kuch khavaab liye baithe hai ..
hothon pe ankahi batoon ka sailab liye baithe hai ..
kitni hi baatein karni hai fir ham kyun khamosh baithe hai?



Hangama khada karna mera maksad ni .....

Jalti hai ik aag mere seene me bagawat ki ..
vo aag tere seene me bhi jalni chahiye ..
hangama khada karna mera maksad ni 
Badlaav hai mera maksad sudhaar ho gar 
badlaav me to tera bhi maksad badlaav hona chahiye ...
nahi chupata daag mai apne damaan ke
tum bhi bta do apne jakhmon ka kya pata marham unhe bhi mil jaye..
likh di hai vatan ke naam ye zindagi maine..
Zindagi nahi likhani tumhe ...
kuch vakt to likhana chahiye.
hangama khada karna mera maksad ni
Badlaav hai mera maksad sudhaar ho gar
 badlaav me to tera bhi maksad badlaav hona chahiye ...
Hai sahmata koi insaan raah me aksar

sikudati hai thand se kuch baahein raaton me

koi bhukha masoom bachcha aksar sota hai yun hi..
Siskiyon ki roj aavajen hoti hai kahin na kahiin 
koi taaluk ni tera par ahssas hona chahiye
kam se kam vatan ko tere hone ka ahssas hona chahiye..
Badlaav hai mera maksad ..
sudhaar ho gar badlaav me to,
tera bhi maksad badlaav hona chahiye ..
khud ko bhi badal sata hu mai is raah me chalne ke liye..
kuch khash nhi karna tumhe par
soch me teri bhi thoda sa ye badlaav dikhana chahiye
hangama khada karna mera maksad ni ..
badlaav hona chahiye..