Tuesday, 30 June 2015

Suljhan

Maasoom lafjon ne mere dil ko chu liya..
Choti choti baaton ne kaisa hai jadu kiya..
Aise kyun uljhe ye jazbaat mere ,
Ki uljhan meri jhat se sulajh gyi..
Bheed me khoyi aankhon ko jaise ,
Ek naya rasta mila ..
Badi badi baaton me ab uski massom baaton ko dhundati hu ..
Manjil ho dur kitni bhi rasta acha lagta hai,
Hanth ho jb kisi ka hanth me to safar aasan lagta hai ..
Girne se darne ki koi baat na rhi,
Thaamne ko hosale ko ek hosala sath rahta hai ...
Aduri baatein , adhure sapne , adhure lamhe ..
Inka adhurapan ab adhura hi sahi ,
Ab pura pura sa lagta hai ..





Monday, 29 June 2015

Ahsaas

Kya ahsaas hai ye ise kya naam du ..
Koi naam du ise ya benaam chor du 
Tham lu is pal ko mai 
Ya thora jee ke dekh lu ..
Sunu sabki baate yaa ,
Bas uski hi dhun ched du .
Ruk jaun mai raah me 
Yaa chal padun sath  uske.
banaun mai ik gharonda mati kaa , 
Yaa ret ke khvaab sa bikhrne dun ise
Mangu mai jawab usse ab in sawalon ke puchun usse 
Yaa sawalon ko apne khud se hi puch lu , 
Tham lu hanth me ik lambe safar ko , 
Yaa tham lu in kadamo ko
Badhne se ab..

Saturday, 27 June 2015

Kalam ki Aag

Thak chuka hai shor labon par bagavat ka , 
In labon par ab khamoshiyon ka ik daur baki hai ..
Jubaan chupchaap hi sahti hai , 
kalam se bhi ab rosh ki kam baat hoti hai ..
Hai shaant hai dikhta ni ab rosh logo ko..
Andaaz - e - bayaan badlne se sab log vakif hai ..
Koi chot karta hai bekhaufi se ab mujh par us chot ke nishaan dikhte ni bas daag baki hai ...
Tere julm ki imtihaan ko dekhne ke liye abhi bhi roshani ankho me meri baki hai ..
Par soch mat lena ki ye daur tera hai 
Ki aazad hai tu ab har julm karne ko ..
Abhi to khamoshi ke baad ka shor baaki hai ..
Ye tera daur hai to barpa le julm ji bhar ke ...
Is daur ke baad mera daur baki hai ...
Kalam lakdi banegi chita ki aag ko teri,
Kalam me aaj bhi meri itni aag baaki hai..