Sunday, 31 August 2014

Khush rahte hai ham tarikh pahli ho yaa aakhiri....



Aisa ni hai ki Jhaan me tere pyar na ho ...

Aisa ni hai ki Jhaan me tere pyar na ho ...
jahaan ummid ho iski vahaan nahi milta
lafj to mil jate hai magar ..
kahne ke liye vo noor-e-jahaan nahi milta..
Rukhasat ho lete hai vo badi hi berahami se.
hame khush karne ko ik salam e ikraar nahi milta..
kuch bandishe hai jahaan me dono ki khatir ,
dil karta hai mera bagawat ki aarzoo par tera nahi karta..
aashiyane ki hai chahat usko bhi mujhe bhi..
chunati hu mai tinake kyun sang vo nahi chalta..
safar ye zinndagi ka lamba khabar hai dono ko hi ..
hoti hai mujhe hamsafar ki khawahish par vo nahi karta..
pal do pal ka sath ho bhi agar mumkin
to bhivo mere sath nahi hota..
Aisa ni hai ki Jhaan me tere pyar na ho ...
jahaan ummid ho iski vahaan nahi milta..

Saturday, 30 August 2014

Modern Love

LOVE is like a OPEN WiFi
It is in the air like Carbon di Oxide
It gives us Refreshment like a Burger bite
Sometimes it is like Virus in the life..
due to which we have to format our memories sometimes.
we save our lover's memories in C Drive ...
and create Backups in our minds.




Friday, 29 August 2014

Kya ? ye mere alfaaj hai ..

Lafjon ki in bandishon se hamen khelna acha ni lagta par ..
jubaan khamosh ho to lafj khudbakhud bolne lag jate hai ..
nahi karna chahte apne gam se dunia ko udaas par ..
kya karen jab aankhon me nami or unka hi pyar hai..
lafj rukte ni kavita khud b khud ban jati hai..
ham likhte ni unka ahssas likhta hai ..to
kaise kah du ye mere alfaaj hai ..


Thursday, 28 August 2014

नन्हे फ़रिश्ते

उम्मीदें करो इनसे लेकिन सपनों को इनके भी पलने दो ,
तारें है ये जमीं के इन्हें जहाँ को रोशन करने दो..
इनके नन्हे हाथों में सपनों का अपने बोझ न दो..
खुदा के नन्हे फ़रिश्ते है ये इन्हें खुदा की सीख पे चलने दो।


Wednesday, 27 August 2014

Kisi ko rulane ka sabse achaa tarika hai ...
Hansao itna ki uske aasun nikal aaye .
.(kisi kavi ki kavita ki lines )

Jab tu yahi tha...

kuch lamhe kuch aduri si baatein meri
ek masoom hansi ankhon me chipi hui thi nami
vo vakt kitna ajiib tha ..
jab tu yahi tha.
na lafj milte the mujhe
na baaten thi kuch kahne ko mere pas me
koi khvab ankhon me ni tha.
bas tu hi tha
jo har pal sath tha
kuch jhuth muth ke shikve the
kuch gujare lamhon ki yaadein thi ...

Monday, 25 August 2014

Khubsurat Jawaab

Khoobsurati ki imtihaan kya hoti hai ..
aanchal se dhanke us chahre me dekho ..
khamoshiyon ki aavajein sunani ho gar
to unki un bolti aankhon ko dekho ..
najakat kya hoti ho samajhana ho gar ..
unko aaadab karke ke dekho ..
kaisi udati hai khushabuu havaon me ye ni samjhate ho gar
to unke pas aane par dekho ..
kisne banaya hai sangeet itna meetha ye sochate ho to ,
payal ki us chanak ko sun lo ..
farishate kya hote hai aise bhi jo khubsurati se roshan hai jahaan ke liye
unke jeene ke dhang ko dekho ..
chor ke aashiyaan apne banate hai  kaise naya jahaan
is baat ki banagi mil jayegi ek bar uske piya ka ghar dekho ...

Udaan

Apni ik dunia hai meri kuch sapne hai mere bhi
bekhaufi se udna chahti hu mai chunane ko tinke
apne aashiyaan ke liye..
paron ki sarsaratahat sunana hai mujhe ..
havaon ki takrahat se ladna hai mujhe ..
zindagi meri hai ye amanat ni 
apne isharon pe chalna mujhe..
kuch adure sapne hai ankhon me jo 
leke chali hu sang sang unhe ..
najuk hai sapne mai najuk nhi ..
kale sayon se hai gujarna mujhe
chubhati hai najaren kyun puche saval
in raahon  pe chalna hai kya koi gunaah 
har shikari ki mujhe pe nigaah ..
mere apnon ko fikr hai aaj
apne hi sapnon ko pura kru mai ..?
is dunia me kya hai ye apraadh ?
sishe ke tukade rahoon me biche 
udana hai mujhko shikari ki najaron ke pas..
kyun hai itna bada aasmaan mere liye 
deevaron me aaj ..
door nikal jane ki hai chaah par ho rhi hai apnon ki parvaah ..
udati rahungi inhi dayron me mai ladti rahungi , chupati rahungi 
shikari nigaahon se mai ..
banaungi par mai ek anokha ashiyan ...
bekhaufi se bana ,sundar ke tinko se saja ..
majboot karungi mai apni pahchaan
fir hoga mera ye khula aasman 
bakhauf udungi le aajadi ki mashaal 
nanhi pariyon ko dikhaungi raah ...
bekhaufi ke aasmaan virasat me de jaungi sath .

Sunday, 24 August 2014

Beware !! I am Ignoring not Forgiving ..

If .. I Ignore ..it doesn't means I afraid of you it means i dont have time  to waste on you and i know you have much free time.If you will cross the limit then i will answer you in a better way.




Friday, 22 August 2014

Aasmaon ki bulandiyon pe rahne valon najare jara jameen par bhi rakhna ..



Aasmaon ki bulandiyon pe rahne valon
najare jara jameen par bhi rakhna ..
gar tum gire aasamanon ki unchaiyon se to
bichde yaaron se hoga fir yahi milna ..
mati hi sameti tumhe apne aanchal me ..
upar ho gar tum to is par halki si chaanv karna..
udte hai panchi aasmanon jo ..
dana unhe niche aane pe milta..
bhatkane lago , sahmne lago tufanon me tum 
to niche aakar oot me chipna...
najare jara tum jameen pe bhi rakhna.

Thursday, 21 August 2014

Hatheli me samet li hai khushiyan maine..

Hatheli me samet li hai khushiyan maine
ek dunia bana li khubsurat aankhon ke darmiyan
jaruraton ki lambi jo fehist thi meri ...
katne lage hai unse ab samanon ke naam 
mathe ki sikan ko dhak leti hai chehare ke muskaan ..
or gamon ki siskiyon ko khushiyon ke alfaaj
aaankon me ashkon ki kyun hogi jagah ..
ab to yahaan hai khavabon ke aashiyan..
kon jane kaise kab kon aayega..
dil ke darvaaje karte hai intzaar..
kon kahta hai ki ud ni sakte hai insaan 
roj unchi udaane bharti hu baar baar.....
sapnon me hi rahne ki aadat chor di maine
ab to sapnon ko hakikat banane ko hu bekraar..
Pankh hai jo hosalon ke ye mere ..
halaton ki mushkilon se na aayegi in par aanch ..

Wednesday, 20 August 2014

Kya gunaah hai is 'ladki' ka ?

kadam jo badahaye maine jo thode se aage ..to

kyun unhe khalne lage..

aankhe thi jo mere intzar me ab ak

 unhe hi ab kyun khalne lagi ..

dor se ud rhi thi bandhkar mai 

aage udi jo sapnon ki taraf vo dor kyun tutne lagi ..

mujhe girane ki chahat to ni thi to 

fir kyun mujhe vo kasne lagi..

beti jaisi thi sabke liye mai

 ab kyun keval ladki hi sab kahne lage...

kheli thi jinke sath me vo ladkekyun mujhse door rahne lage 

dosti ka rishta hamara tha jo itna pyara vo rishta ab ghutne laga..

dar dar ke vo ladka mujhse kyun milne lga

kadam kadam pe logon ki najaron ka khauf  kyun rahne lga...

kya gunaah hai mera isi soch me ye dil rahne lga.


Chiragon se niklta hai dhuaan kyun,
jo jale the roshani ke liye...
roshani hai , ujale hai ..
chakachaundhi hai dunia ki ,
hame itne ujale me...
ek kiran kyun nahi milati .
tute kyun pade hai 
ye mitti ke khilone ..
inhe banaya gya tha kisi ko hasane ko.
tute to kuch aise ...ki hansate hansate rula diya.





Tuesday, 19 August 2014

Smile is the most beautiful thing in the world...it release your stress and others too .....Only a human being can smile clearly ..So, celebrate humanity with smile.