Monday, 27 July 2015

Paigam Shaheed bete ka maa ke naam..



Mat rona meri maa tum mujhe yaad karke ...
Mai soya hu bharat maa ki goad me 
Hu tirange ki oat me ..
Mat rona meri maa ...
Maa mai khush hu tu bhi khush ho jaa 
Mere bachchon ko samjha de ..
Hai papa uske chale gye door khilaune lene koo ..
Mat rona meri maa..
Samjhana dena meri patni ko mai aaunga har janam me uske sapnon me rang bharne the vaade mere sachche sab aaunga unhe puraa karne ..
Mere bachchon se kah dena ki khoob padhe or achche bane ..
Ho jaye taiyaar vo bharat mata ki sevaa ko ..
Mat rona meri maa ..
Aap to sambhal leti ho sabko maa..
Pitaji ko samjha dena ki ye to unkaa samman hai ..
Mat rona meri maa ..
Jab bhi meri yaad aaye tirange ko lahara behichak unchi imaraton pe ..
Uska hava se hilna maa meri sansin ka chalna hai ..
Tirange ke gaan me mere honthon ki sargam hai ..
Har deshbhakt ke dil me maa meri hi to dhadkan hai ..
Maa mera zazbaa jinda hai ab bhi deshbhakton ke tan man me ..
Maa tera beta jinda tha ...
Or vo to ab bhi jindaa hai.

No comments:

Post a Comment